Different types and causes of impaired cognition

0
41

Bhenga Pan Mein Aik Aankh Dimagh Ki Aik Simt Ki Tasveer Bana Kar Dikhati Hai Aur Dusri Aankh Is Se Mukhtalif Tasveer Bana Kar Pesh Karti Hai. Matlab Yah Ke Dimagh Par Do Mukhtalif Tasveer Ban Rahi Hoti Hain Dimagh Ko Yah Baat Kisi Surat Qubool Nahi Hoti. Aankhon Ka Bhenga Pan Zyada Tar Bachon Mein Dekha Jata Hai Lekin Yah Zindagi Ke Kisi Bhi Hissay Mein Aap Ko Mutasir Kar Sakta Hai. Badi Umar Ke Bachon Ya Afraad Mein Bhenga Pan Mukhtalif Tibi Haalaton Ki Wajah Se Ho Sakta Hai Jaise Ke Dimaghi Ya Jismani Falij Wagaira.

Bhenga Pan Ya Cross Aankhen Kiya Hain?
Bhenga Pan Ya Cross Aankhen Jinhain ‘Strabismus’ Bhi Kaha Jata Hai, Aik Aisi Halat Hai Jismein Aap Ki Aankhen Aik Line Par Nahi Hoti Hain. Is Mein Aankhen Mukhtalif Simtoun Mein Nazar Aati Hain Aur Har Aankh Mukhtalif Cheez Par Markooz Hogi.

Alamaat
Bhenge Pan Mein Aankhen Andar Ya Bahar Ki Taraf Ishara Kar Sakti Hain Ya Mukhtalif Simtoun Mein Focus Kar Sakti Hain, Is Ke Alawah Bhenge Pan Ki Nishaaniyon Mein Shamil Hain: Basarat Ki Kharabi, Dohri Basarat, Gehrai Ke Adrak Mein Kami, Aankhon Mein Dard Ya Sar Dard. Yah Alamaat Mustaqil Bhi Ho Sakti Hain Ya Phir Sirf Us Waqt Zahoor Ho Sakti Hain Jab Aap Thake Hue Hon Ya Theek Mehsus Na Kar Rahe Hon.

Bhenge Pan Ki Aqsam
(1) Hyperthropy: Yah Us Waqt Hota Hai Jab Aankhen Uper Ki Janib Murr Jaati Hain.
(2) Hypothropy: Yah Us Waqt Hota Hai Jab Aankhen Neeche Ki Janib Murr Jaati Hain.
(3) Esotropy: Yah Us Waqt Hota Hai Jab Aankhen Andar Ki Janib Murr Jaati Hain.
(4) Exotropy: Yah Us Waqt Hota Hai Jab Aankhen Bahar Ki Janib Murr Jaati Hain.

Bhenge Pan Ki Wajohat
Bhenge Pan Aasabi Nuqsaan Ki Wajah Se Hota Hai Ya Phir Jab Aap Ki Aankhon Ke Ardgarh Ke Pathay Aik Saath Kaam Nahi Karte Kyun Ke Kuch Pathay Dusre Pathon Se Kamzor Ho Jaate Hain. Jab Dimagh Ko Har Aik Aankh Se Aik Mukhtalif Basri Pegham Milta Hai To Woh Aap Ki Kamzor Aankh Se Aane Wale Signals Ko Nazar Andaz Kar Deta Hai. Agar Aankhon Ki Haalat Theek Nahi To Yah Aap Ko Andhe Pan Mein Mubtala Kar Sakta Hai.

Bachon Mein Bhenge Pan
Bachon Mein Bhenge Pan Aam Hai. Aksar Is Ki Bunyadi Wajah Maloom Nahi Hoti. ‘Infantile Esotropia’ Aik Khaas Qisam Ka Bhenge Pan Hai Jo Bachon Mein Pehle Saal Mein Zahir Hota Hai. Baaz Dafa Bhenge Pan Khandanon Mein Chalta Hai Aur Ise Surgery Ke Zariye Durust Kiya Jata Hai. Yah Bhenge Pan Doh Se Paanch Saal Ki Umar Ke Bachon Mein Hota Hai Aur Aam Taur Par Chashmay Ke Estemal Se Theek Ho Jata Hai. Aik Qisam ‘Haasil Shuda Bhenge Pan’ Ki Hoti Hai. Is Mein Bachay Aam Tor Par Kisi Ki Nigal Mein Aankhon Ko Terha Karke Dekhte Hain. Yah Do Se Paanch Saal Ki Umar Mein Hota Hai Lekin Yah Chashma Ke Mustaqil Estemal Se Theek Ho Jata Hai.

Tibi Haalat
Bhenge Pan Zindagi Ke Kisi Bhi Hissay Mein Ho Sakta Hai. Yah Aam Taur Par Jismani Aur Awarzee Ki Wajah Se Hota Hai. Mislain Aankh Par Chot Lagana, Dimaghi Falij, Jismani Falij Wagaira. Allah Taala Ne Hamein Do Aankhein Di Hain. Jab Hum Kisi Cheez Ki Taraf Dekhte Hain To Dono Aankhein Khudbakhud Us Cheez Ki Taraf Mud Jaati Hain. Agar Kisi Wajah Se In Dono Aankhon Ki Coordination Kharab Ho Jaye To Bhenge Pan Ki Bimari Samne Aati Hai. Tawazun Kharab Hone Ki Amooman Darja Zail Teen Wajohat Mein Se Koi Bhi Wajah Ho Sakti Hai:

(1) Dimagh Dono Aankhon Ki Harkat Ke Tawazun Ko Barqarar Na Rakh Paye.
(2) Aik Aankh Ki Karkardagi Kisi Wajah Se Naqis Ho Jaye. Misal Ke Tor Par Safaid Motia Se, Parday Ki Kharabi Se, Aik Aankh Ki Nazar Qudrati Tor Par Dusri Ke Mukable Mein Bohat Zyada Kamzor Ho Waghera.
(3) Aankhon Ki Harkat Ko Control Karne Walay 12 Azlat Mein Se Koi Aik Ya Zyada Azlat Bemar Ho Jayein Aur Poori Tarah Kaam Na Karte Hain. Misalain Kisi Uzoo Ko Falij Ho Jaye, Kisi Uzoo Ki Nasho Numai Naqis Ho Gayi Ho, Kisi Uzoo Ke Chot Aa Jaye.

Bhenge Pan Ke Nuqsanat
Bohat Dafa Bhenge Pan Nafsiyati Uljhno Ka Baais Ban jata Hai. Kyun Ke Chehra Badnuma Ho Jata Hai. Jin Bachon Mein Azlaat Ka Falij Is Ki Wajah Hota Hai Un Mein LaSharoori Tor Par Sar Aur Chehra Abynarml Position Ikhtiyar Kar Sakta Hai. Isi Position Se Gardan Ke Mehray Umar Bhar Ke Liye Kharab Hone Ka Khauf Hota Hai. Sar Dard, Chakar Aana, Parhte Hue Alfaz Ka Harkat Karna Shuru Kar Dena, Is Marz Ki Aam Alamaat Hain. In Ki Mojoodgi Bachon Ki Karkardgi Ko Mutasir Karti Hai. Bachon Ka Parhaai Se Dil Achhat Ho Jata Hai. Log Kaam Se Ji Charan Lagte Hain Jis Ki Unhein Wajh Bhi Samajh Nahi Aati.

Zyada Tar Mareezon Mein Is Ka Ilaj Mumkin Hota Hai. Ilaj Ka Talluq Naqs Se Hota Hai. Agar Aankhon Ki Karkardgi Naqis Hai Aur Kisi Tareeqe Se Us Ke Kaam Karne Ki Salahiyat Ko Behtar Kiya Ja Sakta Hai To Is Se Bhenge Pan Theek Ho Jaye Ga. Mislain Safaid Motia Ka Operation Kar Diya Jaaye. Agar Ainak Ki Zaroorat Ho To Ainak Ka Estemal Shuru Kiya Jaye To Is Se Aahista Aahista Terha Pan Theek Ho Jata Hai. Is Tarah Agar Azlaat Falij Ka Shikaar Ho Gaye Hain Ya Paidaishi Tor Par Kamzor Hain To Us Ki Karkardgi Ko Aksar Auqaat Behtar Karna Mumkin Hota Hai.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here